People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 2 *

Humne Le LIya
Music: Anil Biswas
Lyricist: Narendra Sharma
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Hamari-Baat/Ghar-Hum-Ne-Le-Li
bistar bicha diya hai
tere dar ke samne
o tere dar ke samne
ghar hamne le liya hai
tere ghar ke samne
sun lijiye kaan khol ke
o kaan khol ke
are fir na aaungi
mai fir na aaungi
na hans ke sir patakte hai
pathar ke samane
are ha pathar ke samane
ghar hamne le liya hai
tere ghar ke samne

kal shaam tak jo aap na
aaye to dekhna
ha ha ji dekhana
dekho ji dekhna
aa jaunga mai, aa jaunga mai
aapki moter ke samne
ha moter ke samne
ghar hamne le liya hai
tere ghar ke samne

mai khudkushi ke jurm me
karva du giraftar
mai khudkushi ke jurm me
karva du giraftar
karva du giraftar, karva du giraftar
fir tum, fir tum kya kahoge
collecter ke samne
o collecter ke samne
ghar hamne le liya hai
tere ghar ke samne

sine se dil nikaal kar
o sine se dil nikaal kar
rakh dunga, rakh dunga mej par
fir dil tarang, fir dil tarang
dekhiye nashtar ke samne
ha ha nashtar ke samne
ghar hamne le liya hai
tere ghar ke samne

?aur khanjaro tej
kya tik sakoge
kya tik sakoge aise
tevar ke samne
ha ha tevar ke samne
ghar hamne le liya hai
tere, bade aaye ghar lene wale

nachunga is tarah se isharo pe aapke
nachunga, nachunga
nachunga, nachunga
nachunga is tarah se isharo pe aapke
bandar jo nachta hai
bandar jo, bandar jo nachta hai
kalandar ke samne, o kalandar ke samne
ghar hamne le liya hai
tere ghar ke samne
Karwatein Badal Raha Hai
Music: Anil Biswas
Lyricist: Narendra Sharma
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Hamari-Baat/Karwaten-Badal-Ra
karvate badal raha hai
aaj sab jahan, aaj sab jahan
karvate badal raha hai
aaj sab jahan, aaj sab jahan
dal badal ke ja rahe hai
dharti aasaman, dharti aasaman
karvate badal raha hai
aaj sab jahan, aaj sab jahan
kyu na ham
kadam badha sake samay ke sath
kyu na ham, kyu na ham
kyu na ham
kadam badha sake samay ke sath
kyu na chhede ham badalti jindagi ki taal
kyu na chhede ham badalti jindagi ki taal
karvate badal raha hai
aaj sab jahan, aaj sab jahan
karvate badal raha hai
aaj sab jahan, aaj sab jahan

ab na roke se rukegi
jindagi ki raah
ab na roke se rukegi
jindagi ki raah
ham nahi rukenge
ham nahi rukenge
rukati hai jaha nisha
ham nahi rukenge
rukati hai jaha nisha
ham milenge aur milenge
kandhe aur kadam
milenge kandhe aur kadam
milenge kandhe aur kadam
ham milenge aur milenge
kandhe aur kadam
milenge kandhe aur kadam
ek ho nishana apna ek ho nishaan
ek ho nishana apna ek ho nishaan
apna ek ho nishaan
karvate badal raha hai
aaj sab jahan, aaj sab jahan
karvate badal raha hai
aaj sab jahan, aaj sab jahan